Woh kehte the humse ki hum tumhe be-inteha pyar karte hain
apni har saans ke sath tumhe sham-o-sehar yaad karte hain,
Ek baar tumse milne ki chahat ko dil mein rakhte hain
aur tum khud humein milne ke liye bulao ye tamanna rakhte hain,
Humne bhi apni khwaish ka unse izhaar kar diya
hum bhi unse milna chahte hain ye ikraar kr liya,
Mukarar waqt par woh na aaye bas apna likha ek paigam bhijwa dia ki
hum toh tumse shararat kar rahe the aur tumne ye sab sach samjh liya.
Search This Blog
Every Man's Work.....
Every man's work, whether it be literature, or
music, or pictures, or architecture, or anything
else, is always a portrait of himself.
music, or pictures, or architecture, or anything
else, is always a portrait of himself.
Khamosh Raat Ke.....
Khamosh raat ke pehlu mein khyalon se batein karne lage hain
sunehri sehar ke aanchal mein jaagti aankhon se bhi khwaab bunne lage hain,
Alam aur soz mein na jaane iss zindagi se kitni hee shikayatein ki hain
par aj phir se muskura rahi hai ye zindagi rabb ne jo hum par inayat ki hai.

Unless You Try.....
Unless you try to do something beyond what
you have already mastered, you will never grow.
you have already mastered, you will never grow.
Subscribe to:
Posts (Atom)